surkhab kia kharidein asbab kia kharide
fitrat faqeer jiski alqab kia kharidein
le ja inhein utha kar suda nahi hai mumkin
jis aankh mein na neendein wo khwab kia kharide
bekar ashk le kar sehra gaya tha majnu
jo bond ko tarasta wo selab kia kharide
bazaar hai ye duniya har seh pe dil hai aaya
ek kashmakash ajab hai betab kia kharide
mana zameen hai teri par soch le tu nadan
jab asman na tera mehtab kia kharide
adat chalan tarikay. ye ishq khaak badle
jahil ho jo azaal ka adaab kia kharide
Abrak samandaron ki kia mannatein kare tu
sahil tujhe duboye gardab kia kharide
Thanks For Watching Share With Your Friends
0 comments:
Post a Comment