ghar se nikla tha k duniya ko badal dalon ga
kia ghazab hai k main khud roz badal jata hon
sach ki rahon pe main chalta hon bari niyat se
jane phir kaise main raste hi badal jata hon
har ghari sath mere rehte hain ye kia. kyun. kab.
inse bachne ko irada hi badal jata hon
rooh chekay hai meri kaam to aa logo k
nafz arhta hai to ye soch badal jata hon
mere lafzon k hain mani sabhi methe methe
kia karon lehjhe se matlab hi badal jata hon
jab bhi khushbo se lagaya hai yahan jee main ne
phool chota hon to kanto mein badal jata hon
main na mano ga magar sach to nahi badle ga
log rehte hain wahin main hi badal jata hon
Thanks For Watching Share With Your Friends
0 comments:
Post a Comment