jab ankh mein kuch khaak si urhti nazar aai
samjhe sabhi khush fehm k hade safar aai
eik umar to jage the k chaat jaye andhera
pal bhar ko lagi ankh to milne sehar aai
main ne to warq par abhi lekne the bohat naam
dhondli si ye surat kahan se ubhar aai
shayad isay kehte hain tamanna ki talafi
bholi hoi eik yaad sar e shaam ghar aai
palkhon pe na ansoo na sitare na charagha
tu aaj shab e hijr meri jaan kidar aai
usne bhi kia raah badalne ka irada
sad sukar mohabbat bhi kisi mor par aai
Thanks For Watching Share With Your Friends
0 comments:
Post a Comment