mere zeyaad se keh do nahi ab loatna mumkin

Aajab eik parda hayil hai jo sarkaya nahi jata
bohat seedi si batoon ko bhi samjhaya nahi jata

kabhi tha fakar ye khud pay k meer e kaewan hum hain
lotay phir qaflay aesay k itraya nahi jata

bohat waday howe hum se , madawa lazmi ho ga
magar hai waqat aesa qarz jo lotaya nahi jata

baharain jab nahi apni to phir kia aarzoo rakhna
ye gulshan mangay ki khushbu se mehkaya nahi jata

na jane kyun sabhi rishte howe jate hain ab lagharr
k dori do kadam ki ho magar aaya nahi jata

kisi se mashwara kaisa kisi se pochna kia ab
hunar aesa mohabbat jo k batlaya nahi jata

mere zeyaad se keh do nahi ab loatna mumkin
samandar mein giray qatray ko phir paya nahi jata

ab Aagay dhondte ho kia mujhe tum is kahani mein
main wo kirdar jo anjam tak laya nahi jata

kahein gay kia mujhe apne, kahe ga ye zamana kia
ho Abrak sach aagar likhna to ghabraya nahi jata


Thanks For Watching Share With Your Friends

About Dr Neon

    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment