kissay jhotay hain sab kitabon mein
sach hai na,ped ab nisaon mein
aesi is door ko lagi hai nazar
jis ko dekho wohi aazaon mein
deen duniya mein ghum howa aesa
shaar hi samil howe sawabon mein
paray zahid ki aaqal par parday
hosh dhonday wo ab sharabon mein
jo ye samjha k manzilen uski
ghum howa hai wohi sarabon mein
ab yahan jo zara sawal kare
dhafan karte isay jawabon mein
ishq baniye ki raah chal nikla
har ghari gharkh hai hisabon mein
ab na kache gharon ka door raha
na morawat rahi chanaon mein
pak daman hai sirf meer e sehar
Aeb saray hain hum kharabon mein
kia kahein ehad ko ab is Abrak
aap shamil howe janabon mein
hum na pehchane zindagi tujh ko
jab mili tu mili nakabon mein
Thanks For Watching Share With Your Friends
0 comments:
Post a Comment